Saturday 23 September 2017

kab tumse shikayat hai

kab tumse shikayat hai
ik taza hikayat hai
sun lo to inayat hai

ik shaks ko dekha tha
taaron ki tarah humne
ik shak ko chaha tha
apno ki tarah humne
ik shaks ko samjha tha
phoolon ki tarah humne

woh shaks qayamat tha
kya uski karen baaten
din uske liye peda
aur uski hi theen raaten
kam milna kisi se tha
humse theen mulaqaten

rung uska shahabi tha
zulfon mein theen mehkaren
aankhen theen ke jaadu tha
palken theen ke talwaren
dushman bhi aggar dekhen
sau jaan se dil haaren

kuch tumse woh milta tha
baaton mein shabahat mein
haan tum sa hi lagta tha
shokhi mein shararat mein
lagta bhi tumhi sa tha
dastoor-e-mohabbat mein

woh shaks humein ik din
apno ki tarah bhoola
taaron ki tarah dooba
phoolon ki tarah toota
phir haat na aaya woh
humne to bohat dhoonda

tum kis liye chonke ho
kab zikr tumhara hai
kab tumse taqaza hai
kab tumse shikayat hai
ik taza hikayat hai
sun lo to inayat hai!

No comments:

Post a Comment